hota our kabhi aik minute ka bhi farq na huwa. Elm-e-Riyazi may Ap yagana-e-rozgar thay. Chuna-chay Ali-Garh University kay Voice Chanceller Doctor Ziya-u-din jo kay riyazi may gair mulki digriyan our tamgha-jaat hasil kiye huway thay. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki khidmaat may riyazi ka aik mas’ala puchnay Aey. Irshad huwa : Farmaiey ! Unhon nay kaha: wo eysa mas’ala nahi jesay itni asani say arz karon. A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay farmaya: Kuch to farmaeye. Voice Chanceller Sahib nay suwal pesh kiya to A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay usi waqt iska tashafi bakhsh jawab day diya. Unhon nay intahae herat say kaha kay mayn is mas’alay kay leye Germany jana chahta tha ittifakan hamaray Diniyat kay Professor Moula Sayed Sulayman Ashraf Sahib nay meri Rayhnuma’e farmae our mayn yahan hazir ho gaya. Youn Ma’loom hota hay kay Ap isi mas’alay ko kitab dekh rahay thay. Doctor Sahib Ba-sad farhat-o-Musarrat wapas tashreef lay gaey our Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki shakhsiyat say is qadar Mutassir huway kay darhi rakh li our Soom-o-Salat kay paband ho gaey. (Aidans 223,229) Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
E’lawa Azen Meray Aaqa A’la Hazrat Elm-e-Takseer, Elm-e-Hayet, Elm-e-Jafar waghera may bhi qafi maharat rakhtay thay.
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد