Janab Sayed Ayub Ali Shah Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay meray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه aik bar Peli Bhayt say Bareli Shareef Ba-zarya-e-Rail ja rahay thay. Rastay may nawab-gunj kay station per jahan gari sirf do minutes kay leye thayherti hay, Magrib ka waqt ho chukka tha, Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay gari thay-hertay hi Takbeer Aqamat farma ker gari kay andar hi niyyat bandh li, galiban paanch shakson nay iqtada ki un may mayn bhi tha lekin abhi shareek jama’at nahi ho nahi paya tha kay meri nazar ghayr-muslim guard per pari jo plate form per khara sabz jhandi hila raha tha, Main nay khirki say jhank ker dekha kay line clear thi our gari choot rahi thi, magar gari na chali our Huzoor Hazrat nay ba-itminan tamam bila kisi iztirab kay teenon farz rak’atayn ada ki our jis waqt dayen janib salam phera tha gari chal di muqtadiyon ki zaban sey be-sakhta Subhan-Allah, Subhan-Allah, Subhan-Allah nikal gaya.
Is karamat may qabil-e-ghor ye baat thi kay agar jama’at plate form per khari hoti to ye kaha ja sakta tha kay guard nay aik buzrugh hasti ko deykh ker gari rok li ho gi eysa na tha balkay namaz gari kay andar parhi thi. is Thoray waqt may guard ko kiya khabar ho sakti thi kay aik Allah عَزَّوَجَلَّ ka mehboob banda fariza-e-Namaz gari may ada karta hay. (Aida jald 3 safha189, 190)