Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay sirf terah (13) saal dus (10) mah
chaar (4) din ki umer may tamam Muraweja u’loom ki takmeel apnay Walid Majid
Raees-ul-Mutakallimeen Moulna Naqi Ali Khan عَـلَيْهِ رَحْـمَةُ
الْـمَنَّانْ say ker kay sanad-e-faraghat hasil ker li. Usi din Ap رَحْمَةُ اللهِ
تَعَالٰی عَلَيْه nay aik suwal kay jawab may peyhla fatwa tahreer farmaya tha.
Fatwa sahi paa ker Ap
رَحْمَةُ اللهِ
تَعَالٰی عَلَيْه kay Walid-e-Majid nay Masnad-e-Ifta Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی
عَلَيْه kay supurd ker di our akhir waqt tak fatwa tahreer farmatay
rahay. (Aidans 279)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho our unkay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Allah Ta’ala nay A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko bay-andazah u’loom jalila say nawaza tha. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay kamo-baysh pachas u’loom mayn qalam uthaya our qabil-e-qadar kutub tasneef farmayen. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko her fun may qafi dastaras hasil thi. Elm-e-toqeet mayn is qadar kamal hasil tha kay din ko suraj our raat ko sitaray dekh ker ghari mila letay. Waqt bulkul sahi