Mahi-e-Bid’at, A’alim-e-Shari’at, Bais-e-Khayr-o-Barakat, Hazrat A’llama Maulana Al-Haj Al-Hafiz Al-Qari Shah Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki wiladat-e-Ba-Sa’adat Bareli Shareef kay mahalla Jasoli may 10 Shawwal-ul-Mukarram 1272 Hijri Baroz hafta ba-waqt-e-zuhur mutabiq 14 june 1856 ko hui. San-e-Paydaish kay a’tibar say aap ka naam Al-Mukhtar (1272 Hijri) hay. (Hayat-e-A’ala Hazrat jald 1 safha 58 Maktabat-ul-Madina Babul-Madina Karachi)
Mayray Aaqa A’ala Hazrat
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay
apna san-e-wiladat parah 28 Surat-ul-Mujadalah ki aayat number 22 say nikala
hay. Is A’yat-e-karima kay Ilm-e-Abjad kay ay’tibar kay mutabiq 1272 a’dad hayn
our hijri saal kay hisab say yahi apka san-e-wiladat
hay. Chuna-chay Maktabat-ul-Madina ki Matbu’a malfozat-e-A’ala Hazrat
safha 410 per hay: Wiladat ki tarekhiyon ka zikar tha our is per (Sayyadi A’ala
Hazrat
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ) nay irshad farmaya: اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ mayri wiladat ki tareekh is a’yat-e-karima may hay:
اُولٰٓئِکَ کَتَبَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمُ الۡاِیۡمَانَ وَ اَیَّدَہُمۡ بِرُوۡحٍ مِّنۡہُ ؕ
Tarjama-e-Kanz-ul-Imaan: Ye hayn jin kay dilon may Allah nay emaan naqsh farma diya our apni taraf ki rooh say un ki madad ki.