Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

khatoon ka samina hota to furan nazrayn neechi kartay huwey sar jhuka liya kartay, goya kay Sunnat-e-Mustafa عَلَيه التَّحِيَّةُ وَالثَّناء ka Ap per ghalaba tha jis ka izhar kartay huway Huzoor Pur Noor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki khidmat A’aliya mey youn salam pesh kartay hayn:

Neechi A’nkhon ki sharam-o-haya per durood

Unchi beeni ki rif’at pay lakhon salaam

 (Hadiq-e-bukhshish Shareef)

A’ala Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay larakpen may takwa ko is qadar apna liya tha kay chaltay waqt qadmon ki A’ahat tak sunnae na deti thi. Saat saal kay thay kay Mah-e-Ramazan-ul-Mubarak may rozay rakhnay shuru ker diye. (Deba cha Fatava-e-Razviya jald 30 safha 16)

Bachpan ki ayk hikayat

Janab-e-Sayad Ayub Ali Shah Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay bachpen may Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko ghar per aik Moulvi Sahib Quran-e-Majeed parhanay aaya kartay thay. Aik roz ka zikar hay kay Moulvi Sahib kisi Aayat-e-karima may bar bar aik lafz Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko batatay thay magar Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki zaban Mubarak say nahen nikalta tha wo ‘Zabar’ batatay thay Ap
 
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ‘Zayr’ parhtay thay ye kayfiyat jab Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay Dada Jan Hazrat Raza Ali Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Sahib nay dekhi to Huzoor (Ya’ni A’la Hazrat) ko apnay pas bulaya our Kalam-

 

Index