Kis tarah itney e’lm kay darya baha diye
U’lamaey haq ki A’qul to heran hay aaj bhi
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Janab Sayed Ayoub Ali Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka bayan hay kay aik roz A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay irshad farmaya kay baaz na-waqif hazrat meray naam kay aagay Hafiz likh diya kartay hayn, halankay mayn is laqab ka ahal nahi hon. Sayed Ayoub Ali Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay isi roz say dour shuru ker diya jis ka waqt galiban E’sha ka wuzu farmanay kay b’ad say jama’at qaim honay tak makhsos tha. Rozana aik para yad farma liya kartay thay, yahan tak kay teesven roz teesvan para yad farma liya.
Aik Mo’qay per farmaya kay mayn nay kalam-e-Pak bil-tarteeb ba-koshish yaad kar liya our ye is liye kay in bandgan-e-Khuda ka (jo meray naam kay aagay hafiz likh diya kartay hayn) kehna ghalat sabit na ho. (Aidan safha 208) Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho un kay sadqay hamhari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد