nay Da’eye Ajal ko labbaik kaha اِنَّا لِلّٰہِ وَ اِنَّآ اِلَیۡہِ رٰجِعُوۡنَ. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka Mazar pur Anwar Madina-tul-Murshid Bareli shareef may aaj bhi ziyarat-gah khas-o-A’am hay. Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari bey-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
Tum kiya gaye kay Ronak-e-Mehfil chali gai
Shay’r-o-Adab ki zulf Pareshan hay aaj bhi
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
25 Safar-ul-Muzafar 1340 hijri ko Bayt-ul-Muqaddas may aik Shami Buzrug رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay khuwab may apnay aap ko Darbar-e-Risalat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم may paya. Sahaba-e-Kiram عَـلَيْهِمُ الرِّضْوَانْ Darbar may hazir thay, lekin majlis may sukoot tari tha our eysa ma’loom hota tha kay kisi aanay walay ka intizar hay, Shami Buzrug nay رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Bargah-e-Risalat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم may arz ki: Huzoor! صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم meray maa baap Ap per qurban hon kis ka intizar hay? Sayed-e-A’lam صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay irshad farmaya: Hameyn Ahmed Raza ka intizar hay. Shami Buzrug nay Arz ki: Huzoor! Ahmed Raza kon hayn? Irshad huwa: Hindustan may bereli kay bashanday hayn. Bedari kay b’ad wo Shami Buzurg رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Maulana Ahmed Raza رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki talash may Hindustan ki taraf chal paray