Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

ul-Umat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay ‘Noor-ul-Irfan’ kay naam say hashiya likha hay.

Wafat-e-Hasrat A’yaat

A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay apni wafat say 4 mah 22 din pehlay khud apni wisal ki khabar day ker para 29 surat-ul-dahar ki aayat 15 say saal-e-Intiqal ka istikhraj farma diya tha. Is aayat shareefa kay Elm-e-Abjad kay hisab say 1340 adad bantay hayn our yahi hijri saal kay aytibar say sann-e-wafat hay. Wo A’yat Mubarika ye hay:

وَيُطَافُ  عَـلَيْهِمْ   بِاٰنِيَةٍ  مِّنۡ  فِضَّةٍ   وَّاَکْوَابٍ

Tarjama-e-Kan-ul-Emaan: Our un per chandi kay bartanon our kuzon ka dor hoga. (Sawanih-e-Imam Ahmed Raza safha 384)

25 Safar-ul-Muzaffar 1340 hijri mutabik 28 Octomber 1921 ko Jummat-ul-Mubarak kay din Hindustan kay waqt kay mutabiq 2 baj ker 38 minute (our Pakistani waqt kay mutabik 2 baj ker 8 minutes) per ‘ayn A’zan-e-jummah kay waqt A’la Hazrat, Imam-e-Ahl-Sunnat, Wali-e-Ney’mat, Azeem-ul-Barakat, Azeem-ul-Martabat, Perwana-e-Shama’aye-Risalat, Mujaddid-e-Din-o-Millat, Hami-e-Sunnat, Mahi-e-Bid’at, A’lim-e-Shari’at, Peer-e-Tariqat, Bais-e-Khair-o-Barakat, Hazrat A’llama Maulana Al-Hajj, Al-Hafiz Al-Qari Shah Ahmed Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه 

 

Index