Meray Aaqa
A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Ishq-e-Mustafa
صَلَّى اللهُ
تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka sarta-paa namuna thay,
Ap رَحْمَةُ
اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka na’tiya dewan ‘Hadaiq-e-Bakhshish
Shareef’ is amar ka shahid hay. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki Noq-e-Qalam
balkay Gehra’e qalb say nikala huwa her misr’a Mustafa Jan-e-Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ
وَاٰلِهٖ وَسَلَّم say Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki bepayan A’qedat-o-Mahabat
ki shahadat deyta hay. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay kabhi kisi dunyawi tajdar ki khushamad kay
leye qaseeda nahi likha, is liye kay Aap
رَحْمَةُ
اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay Huzoor-e-Tajdar-e-Risalat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ
وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki eta’at-o-ghulami ko dil-o-jan say qabool ker liya tha. Our
us may martaba-e-kamal ko puhnchay huway they, is ka izhar Ap
رَحْمَةُ اللهِ
تَعَالٰی عَلَيْه nay aik shay’r may is
tarah farmaya:
Unhayn jana unhayn mana na rakha gayr say kaam,
Lillah-il-Hamd mayn dunya say musalman gaya
Aik martaba riyasat nan-parah (zila bahraich yupi Hind) kay nawab ki madah (ya’ni ta’reef) may shu’ra nay qasaid likhay. Kuch logon nay Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه say bhi guzarish ki kay Hazrat Ap bhi nawab sahib ki madah (ta’reef) may koi qaseeda likh dayn. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay us kay jawab may aik na’at shareef likhi jis ka matla’e[1] ye hay:
[1] Ghazal ya qaseedah kay shuru ka shay’r jis kay dino misron may qafiye hon wo matla’ kahlata hay.