Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

Sharah-e-Kalam-e-Raza: Mayn Ahl-e-Dolat Sarwat ki madah sara’e ya’ni tareef-o-toseef kuyun karon! Main to apnay Aaqa-e-Kareem, Rauf-ur-Raheem عَـلَيْـهِ اَفۡضَلُ الـصَّلٰوةِ وَالـتَّسۡلِیۡم kay dar ka faqeer hon. Meyra deen ‘Para-e-nan’ Nahi. ‘Nan’ ka ma’na roti our ‘para’ ya’ni tukra. Matlab ye kay meyra deen ‘roti ka tukra’ nahi hay kay jis kay leye maaldaron ki khusha-mdayn karta phiron.

صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Baydari May Dedar-e-Mustafa صَلَّی اللّٰہ تعالٰی علیہ واٰلہ وسلَّم

Meray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه dosri bar hajj kay leye hazir huway to Madina Munawwarah زَادَھَـا الـلّٰـهُ شَـرَفًـا وَّ تَـعۡـظِیۡـمًا may Nabi-e-Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki ziyarat ki A’rzo leye Roz-e-Athar kay samnay dayr tak salat-o-salam parhtay rahay, magar peyhli raat qismat may ye sa’adat na thi. is moqay per wo ma’roof na’atiya gazal likhi jis kay matlay’ may daman-e-rahmat say wabastagi ki umeed dikhae hay.

Woh Suey lala zar phirtay hayn

Tayray din aey bahar phirtay hayn

Sharh-e-Kalam-e-Raza: Aey Bahar jhoom ja! Kay tujh per baharon ki bahar anay wali hay. Wo deykh! Madinay kay Tajdar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم suey lala zar ya’ni janib-e-gulzar tashreef la rahey hayn!

 

Index