Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
Wo kay us dar ka huwa khalq-e-Khuda us ki howi
Wo kay us dar say phira Allah us say phir gaya.
(Hadaiq-e-bukhshish Shareef)
Sharh-e-Kalam-e-Raza: Jo koi Sarkar-e-Namdar, Madinay kay Tajdar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka muti’e-o-farman bardar huwa makhloq-e-parwerdegar us ki eta’at-guzar ho gai our jo koi darbar-e-Huzoor-e-Pur-Noor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم say dor huwa wo Bargah-e-Rab-e-Gaffor عَزَّوَجَلَّ say bhi dor ho gaya.
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Mayray
Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ
اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay mukhtalif u’nowanat per kam-o-beysh
aik hazar kitabeyn likhi hayn.Youn to Ap
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay 1286 hijri say 1340 hijri tak
lakhon fatway diye ho gay, Lekin Afsos! Kay sab naqal na kiye ja sakay, jo
naqal ker leye gaye thay un ka nam ‘اَلعَطايَا
النَّبَوِيَّه فِي الفَتاوَي الرَّضَوِيَّه’ rakha gaya. Fatawa-e-Razaviyah
(Mukharajah) ki 30 jaldayn hayn jin kay kul 21656, kul sawalat-o-jawabat: 6847
our kulrasail:
206