Mehfil-e-Milad Shareef may zikr-e-wiladat shareef kay waqt salat-o-salam parhnay kay leye kharay huway baqi shuru say a’khir tak adben do-zano bethay rahtay. Youn hi Wa’z farmatay, chaar (4) panch (5) ghantay kamil do-zano hi member shareef per rehtay. (Aidans safha 119, Hayat-e-A’la Hazrat jald 1 safha 98)
Kash! hum ghulaman-e-A’la Hazrat ko bhi Tilawat-e-Quran kartay ya sunntay waqt nez Ijtama-e-zikr-o-Naat sunnaton bharay ijtama’at, madani muzakirat, dars-o-madni halqon wagherah may adben do-zano bethnay ki sa’adat mil jay.
Sotay waqt
hath kay angothay ko shahadat ki ungli per rakh letay takay ungilyon say lafz ‘Allah’
ban jaey. Ap رَحْمَةُ
اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه peyr phela ker kabhi na sotay balkay dahini (ya’ni sidhi)
karwat layt ker dono hathon ko mila ker sar kay nichay rakh letay our Paaon
Mubarak samayt letay, Is tarah jisim say lafz ‘Muhammad’ ban jata. (Hayat-e-A’la
Hazrat jald 1 safha 99 waghera) ye Allah عَزَّوَجَلَّ kay chahinay walon our Rasool-e-Pak
صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ
وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay sachay A’shiqon ki adayn.
Naam-e-Khuda hay hath may naam-e-Nabi hay zaat may
Muhar-e-ghulami hay pari, likhay huway hayn naam do
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد