Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

jhunjhala ker A’la hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko bura kahna our likhna shuru kardayn. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه aksar is per fakhar kiya kartay kay Bari Ta’ala nay is dor may mujhay Namos-e-Risalat Ma’ab صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay leye dhal banaya hay. Tareeq-e-Iste’mal ye hay kay bad-goyun ka sakhti our teez kalami say rad karta hon kay is tarah wo mujhay bura bhala kahnay may masroof ho jaeyn. Us waqt tak kay leye Aaqa-e-Do Jahan صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki shan may gustakhi karnay say bachay rahayn gay. Hadaiq-e-Bakhshish shareef may farmatay hayn:

Karon teray naam pay jaan fida na bus aik jaan do jahan fida

Do jahan say bhi nahi jee bhara karon kia karoron jahan nahi

Ghuraba ko kabhi khali hath nahi lotatay thay, hamesha ghareebon ki imdad kartay rahtay, balkay A’khiri waqt bhi A’zeez-o-Aqarib ko wasiyat ki kay ghuraba ka khas khayal rakhna. Un ko khatir-dari say achay achay our lazeez khanay apnay ghar say khilaya karna our kisi ghareeb ko mutlaq na jherakna.

Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه aksar tasneef-o-taleef may lagay rehtay. Panchon namazon kay waqt masjid may hazir hotay our hamesha namaz ba-jama’at ada farmaya kartay, Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki khorak bohat kam thi.

Doran-e-Milad Bethnay ka Andaz

Meray A’la Hazrat Imam Ahmed Raza Khan عَـلَيْهِ رَحْمَةُ الـرَّحْمٰنْ 

 

Index