Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

Apka Naam-e-Mubarak Muhammad hay our Apkay dada nay Ahmed Raza kah ker pukara our isi naam say mash’hor huway.

صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Hayrat Angayz Bachpan

U’momam her zamanay kay bachon ka wohi haal hota hay jo aaj kal bachon ka hay kay saat (7) A’ath (8) saal tak to unhen kisi baat ka hosh nahi hota our na hi wo kisi baat ki tayh tak pohanch saktay hayn, Magar A’ala Hazratرَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka bachpan bari ahmiyat ka hamil tha. Kam sini, khurd Sali (ya’ni  bachpan) our kam umri may hosh mandi our quwwat-e-hafiza ka ye a’alam tha kay sarhay chaar saal ki nanhi si umar may Quran-e-Majeed nazira mukamal parhnay ki nay’mat say baryab ho gay.

Chay Saal kay thay kay Rabi-ul-Awal kay Mubarak mahenay may mumber per jalva-Afroz ho kar Milad-u-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay mozo’ per aik bohat baray ijtam’a may nihayat pur magaz takreer farma ker u’lamaye kiraam our Mashaykh ‘Uzzam say tehseen-o-afreen ki dad wusool ki. Usi umar may Ap nay Baghdad Shareef kay baray may simt ma’loom kar li phir tadam-e-Hayat baldah-e-mubarika Ghaus-e-A’zam عَلَیۡهِ رَحْمَةُ اللهِ الۡاَکۡرَم (ya’ni Ghaus-e-A’zam kay Mubarak shahar) ki taraf pa’aon na phaylaye. Namaz say to Ishq ki had tak lagao tha chuna-chay Namaz-e-panjgana ba-jama’at takbeer-e-ola ka tahaffuz kartay huwey masjid may ja kar ada farmaya kartay, jab kabhi kisi

 

Index