Wo kamalay Husn-e-Huzoor hay kay Guman-e-naqs jahan nahayn
Yahi phool khar say door hay yehi sham’a hay kay dhuwan nahi
Mushkil alfaz ki ma’ani: Kamal=Pura hona Nuqs= Khami Khaar= Kanta
Sharah-e-Kalam-e-Raza: Meray Aaqa Mehboob Rab-e-Zul-jalal صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka husun-o-jamal daraja-e-kamal tak puhanchta hay ya’ni her tarah say kamil-o-mukamal hay is may koi khami hona to door ki baat hay, Khami ka tasavur tak nahi ho sakta, her phool ki shaakh may kantay hotay hayn magar Gulshan-e-Amina ka aik ye he Mehekta phool صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم eysa hay jo kanton say pak hay, her sha’ma may ye a’aib hota hay kay wo dhuwan chorti hay magar Ap bazm-e-risalat ki eysi roshan sha’ma hayn kay dhuwan ya’ni her tarah kay a’aib say pak hayn. Our makta’e[1] may “nan para” ki bandish kitnay lateef isharay may ada kartay hayn:
Karon Madah-e-Ahl-e-Duwal Raza Paray is Bala May mayri bala
Main gada hon apnay kareem ka mayra deen “para-e-nan” nahi
Mushkil Alfaz ki Ma’ani: Madah=tareef duwal=dolat ki jam’a para nan= roti ka tukra