Maktay may bargah-e-risalat may apni A’jizi our bay-maeegi (ya’ni miskeeni) ka naqsha youn khencha hay:
Koi kyun puchay teri baat Raza
Tujh say sheda hazar phirtay hayn
(A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay misra’-e-sani may ba-tor-e-A’jizi apnay leye ‘Kutay’ ka lafz istemal farmaya hay magar adban yahan ‘shayda’ likha hay).
Sharh-e-Kalam-e-Raza: Is Maktay’ may A’shiq-e-Mah-e-Risalat Sarkar A’la Hazrat kamal-e-inkisari ka izhar kartay huway apnay Ap say farmatay hayn: Aey Ahmed Raza! To kiya teri haqiqat kiya! Tujh jesay hazron sagan-e-Madina galiyon may youn phir rahey hayn!
Ye gazal arz ker kay dedar kay intizar may muadab bethay huway thay kay qismat angra’e lay ker jag uthi our chashma-e-sar (ya’ni sar ki khuli a’ankhon) say beydari may ziyarat-e-Mehboob-e-Bari صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم say musharaf huwey. (Aidans 92) Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari be-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
سُـبْحٰـنَ الـلّٰــه عَزَّوَجَلَّ! Qurban jaeye un A’nkhon per kay jo A’lam beydari may Janab-e-Risalat ma’ab صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay dedar say sharaf-yab huwen. kuyun na ho kay Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay