e-Pak mangwa ker dekha to us may katib nay galti say zair ki jaga zabar likh diya tha, ya’ni jo A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki zaban say nikalta tha wo sahi tha. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay Dada nay pucha kay betay jis tarah Moulvi Sahib parhatay thay tum usi tarah kuyon nahi parhtay thay? Arz ki: Mayn iradah karta tha magar zaban per qabo na pata tha. A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه khud farmatay thay kay meray ustad jin say Mayn ibtada’e kitab parhta tha, jab mujhay sabaq parha diya kartay, aik do martaba mayn dekh ker kitab band ker deta, jab sabaq suntay to haraf ba-haraf lafz ba-lafz sunna deta. Rozana ye halat dekh ker sakht ta’jub kartay. Aik din mujh say farmanay lagay kay Ahmed Miyan! Ye to kaho Admi ho ya Jin? kay mujh ko parhatay dayr nahi lagti hay magar tum ko yad kartay dayr nahi lagti ! Ap nay farmaya kay Allah عَزَّوَجَلَّ ka sukar hay mayn insan hi hon haan Allah عَزَّوَجَلَّ ka Fazul-o-Karam shamil-e-Hal hay. (Hayat-e-A’la Hazrat jald 1 safha 68)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho our unkay sadqay hamari be-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد