Maykā-o-susrāl tayray dauno ĥī khushḥāl ĥaun
Dau jaĥān kī na’mataun say khūb mālā-māl ĥaun
Apnay shoĥer kī iṭā’at say na ghaflat kernā tū
Ḥashr mayn pacĥtāye gī ay piyārī bayṫī wernaĥ tū
Mayrī bayṫī! Yā Ilāĥī! Na banay ghuṣṣay kī tayz
Yeĥ karay susrāl mayn ĥer dam lařāyī say gurayz
Yād rakĥ! Tū āj say bas tayrā gĥar susrāl ĥay
Nafrat-e-susrāl sun lay āfataun kā jāl ĥay
Mān samajĥ ker sās ko, khidmat jo kertī ĥay baĥū
Rāj sāray gĥar pay sun lay tū woĥ kertī ĥay baĥū
Sās aur nandaun kī khidmat ker kay ĥo jā kāmyāb
In kī ghībat ker kay mat ker bayṫĥnā khānaĥ kharāb
Sās aur nandayn ager sakhtī karayn to ṣabr ker
Ṣabr ker bas ṣabr ker chaltā raĥay gā tayrā gĥar
Sās aur nandaun kā shikwaĥ apnay maykay mayn na ker
Is ṭaraḥ barbād ĥo saktā ĥay bayṫī tayrā gĥar
Maykay kay mat ker fazāil tū bayān susrāl mayn
Ab tū is gĥar ko samajĥ apnā ĥī gĥar ĥer ḥāl mayn
Sās chīkhī tū bĥī bipĥrī aur lařāyī ṫĥan gayī
Ĥay kaĥān bĥūl aik kī, dau ĥātĥ say tālī bajī
Yād rakĥ tū nay ager kĥolī zabān susrāl mayn
Pĥans kay reĥ jāye gī bayṫī! Qazyaun kay janjāl mayn
Mayrī piyārī bayṫī sun Faizān-e-Sunnat peřĥ kay tū
Iltijā ĥay roz daynā Dars apnay gĥar pay tū
Ger naṣīḥat per ‘amal ‘Aṭṭār kī ĥogā tayrā
اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ, apnay gĥar mayn tū sukĥī ĥogī sadā